Thursday, July 23, 2009

for someone who makes me dream...

Teele ek 2 teen sapne kuch itne saajeye
Bhul gaye ginti hum sapno mien tum aise aaye
Dheema uncha neechi cheek ne hume uthaya hai
Ab hai mushkil rukna teela jo hai ucha itna
Sakht sakht akeli raatien
Sapne ne jo narm ka ehsaas dilaya hai
Raatien ktham hone na do meri
Ab hai mushkil rukna teela jo hai ucha itna
Gehr i halki bheegi boondien
Tumhare jism ne garm ka ehsaas dilaya hai
Baarishe khatm hone na do meri
Ab hai mushkil rukna, teela jo hai ucha itna
Teele ek 2 teen sapne kuch itne saajeye
Bhul gaye ginti hum sapno mien tum aise aaye
Dheema uncha neechi cheek ne hume uthaya hai

Tuesday, July 7, 2009

Patang jaise uska man bhi udna chata hai

Anek rang se baadal ke neele ko rangna chahta hai

Dhoop ko chidhake, suraj ko banake , thandi chaav ki umang hai who

4 by 4 ke makano mien uska man bhi udne ko karta hai

Maidan do use, khuli saans do use, woh bas jeena chata hai

Par ke bina uska man bhi par karta hai, par kya uska man theek karta hai?

Is soch par hi ruk jaane ka jee karta hai…

Bade baste aur usse bhi bade armaano ka basta uthta hai who

Sabse upar jo dekna chahte hain use

Bhool jaate hai upar kaisa pohcha jaata hai

Titli jaisa uska man bhi udna chata hai

Indradhanush ko same pinch karna chahta hai

Rui ko chidhake, pankhudi ko banake, khuli thandi saans hai woh