Tuesday, May 15, 2012

moosibat palali, shouak se jee, shouk se jee!


Zehan mien tu, zeher sa kyu faila hai ,
Meetha bhi, kadwa bhi hai
Saza thodi si, thodi si raza bhi hai
Marzi hai, zid bhi, jazba hai, junoon bhi
Yeh moosibat pal lee, shouak se jee, shouk se jee

Dua mien tu, imaan sa kyu faila hai
Sooholat bhi, pareshaani bhi,
Masla thoda sa, thoda sa hal bhi
Marzi hai, zid bhi, jazba hai, junoon bhi
Yeh moosibat pala li, shouak se jee, shouk se jee

Monday, May 14, 2012

From Nivedita for Sonali!

Chand lamhon mien jo duniya badal gayi,
kitne arson mien lamhe bat gaye,
baras ke toot jaate khwaab,
fir na lamhon ka gam hai, na arson ki kashish,
farak reh gaya hai, bas ek baarish aur sau dhupon ka.

- Nivedita

Langoor ko jab mila angoor!




Dil uchla, uchla
Machla, machla macchi jaisa,

Uchla, Uchla lagoor jaisa,
Kuch angoor jaisa mila hai usko
Khaata khaata, jamini kaala jaisa

Dil uchla, uchla,
Machla, machla macchi jaisa

Lafz, ludka, ludka,
Ludka, Ludka peakkad jaisa,
Kapkapata, Kapkapata kaafir ki neeyat jaisa,
Kuch alfaaz jaisa mila hai usko,
Teekha, teekha, mirchi ke laal jaisa,

Dil uchla, uchla,
Machla, machla macchi jaisa