Wednesday, September 12, 2012

aisa bhi ek jahaan hai baware, lifafa khol man ka, 9 se 5 ke pare


baat jahaan chuppi tode
os jahaan furr ho jaye
batangad jahaan sulajh jaye

woh lamha wahi atka hai, tumhari adhoori need aur karvat ke kone mien phasa hai
aisa bhi ek jahaan hai baware, lifafa khol man ka, 9 se 5 ke pare

Us jahaan mien chalien, aaja udhan choo ho le
khidki ki us chidiya ki tarah, jiska basera hai udan khatola
us gali mien le chal jahaan dhoop chammak challo si chamakti hai
us kinare sarak ja, jahaan tilti miss hawa hawai jaisi thumakti hai

haan bin bulaye mehmaan ki tarah, besharam barati ki tarah,
chal nache khargosh ke jaise, chabaye muft ke kofte kachuye ke jaise

16 ke baad 17 ka khatra jahan khatam ho jaye,
baarish jahaan sookh ke sikood jaaye
paseena jhahan aaram se baith jaye

woh lamha wahi atka hai, tumhari adhoori need aur karvat ke kone mien phasa hai
aisa bhi ek jahaan hai baware, lifafa khol man ka, 9 se 5 ke pare

1 comment: